Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab kahan wo jurat-e-izhaar ‘kaifi-azmi’

Imran Azeem

ab kahan wo jurat-e-izhaar ‘kaifi-azmi’

Imran Azeem

MORE BYImran Azeem

    Interesting Fact

    نذر کیفی اعظمی

    ab kahāñ vo jur.at-e-iz.hār ‘kaifī-āzmī’

    ho gayā suunā suḳhan-darbār ‘kaifī-āzmī’

    rah gayā saanī kahāñ us jahān-e-sher meñ

    vaqt se thā barsar-e-paikār ‘kaifī-āzmī’

    ḳhaak meñ sher-o-suḳhan ke bām-o-dar ġhaltāñ hue

    kaun hai ab ġhāzī-e-guftār ‘kaifī-āzmī’

    ilm-o-hikmat ḳhasāra kis tarah bardāsht ho

    shā.erī sust hai bāzār ‘kaifī-āzmī’

    sher-raste ke musāfir is liye ġhamgīñ haiñ

    kaT ga.e sab peḌ sāya-dār ‘kaifī-āzmī’

    kaun suntā hai sadā TuuTe hue dil 'azīm'

    kis se kar maiñ karūñ iz.hār ‘kaifī-āzmī’

    ab kahan wo jurat-e-izhaar ‘kaifi-azmi’

    ho gaya suna suKHan-darbar ‘kaifi-azmi’

    rah gaya sani kahan us ka jahan-e-sher mein

    waqt se tha barsar-e-paikar ‘kaifi-azmi’

    KHak mein sher-o-suKHan ke baam-o-dar ghaltan hue

    kaun hai ab ghazi-e-guftar ‘kaifi-azmi’

    ilm-o-hikmat ka KHasara kis tarah bardasht ho

    shaeri ka sust hai bazar ‘kaifi-azmi’

    sher-raste ke musafir is liye ghamgin hain

    kaT gae sab peD saya-dar ‘kaifi-azmi’

    kaun sunta hai sada TuTe hue dil ki 'azim'

    kis se ja kar main karun izhaar ‘kaifi-azmi’

    Source:

    Dahleez (Pg. 145)

    • Author: Imran Azeem
      • Publisher: Imran Azeem
      • Year of Publication: 2008
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now