ab ke ajab safar pe nikalna paDa mujhe
ab ke 'ajab safar pe nikalnā paḌā mujhe
rāheñ kisī ke naam thiiñ chalnā paḌā mujhe
tārīk shab ne saare sitāre bujhā diye
maiñ sub.h kā charāġh thā jalnā paḌā mujhe
yārān-e-dasht raunaq-e-bāzār ban ga.e
sunsān rāstoñ pe nikalnā paḌā mujhe
har ahl-e-anjuman kī zarūrat thī raushnī
maiñ sham'-e-anjuman thā pighalnā paḌā mujhe
zālim bahut hai shiddat-e-ehsās-e-āgahī
aksar parā.ī aag meñ jalnā paḌā mujhe
rāhoñ ke pech-o-ḳham meñ balā ke tilism the
chalnā baḌā muhāl thā chalnā paḌā mujhe
āsāñ nahīñ thā zulmat-e-shab se muqābla
sar par jalā ke aag pighalnā paḌā mujhe
ab ke 'ajab safar pe nikalna paDa mujhe
rahen kisi ke nam thin chalna paDa mujhe
tarik shab ne sare sitare bujha diye
main subh ka charagh tha jalna paDa mujhe
yaran-e-dasht raunaq-e-bazar ban gae
sunsan raston pe nikalna paDa mujhe
har ahl-e-anjuman ki zarurat thi raushni
main sham'-e-anjuman tha pighalna paDa mujhe
zalim bahut hai shiddat-e-ehsas-e-agahi
aksar parai aag mein jalna paDa mujhe
rahon ke pech-o-KHam mein bala ke tilism the
chalna baDa muhaal tha chalna paDa mujhe
aasan nahin tha zulmat-e-shab se muqabla
sar par jala ke aag pighalna paDa mujhe
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 22.03.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.