ab ke baras bhi qisse banenge kamal ke
ab ke baras bhī qisse baneñge kamāl ke
pichhlā baras gayā hai kaleja nikāl ke
phirte the jin ke kāñdhoñ pe ham haath Daal ke
vo dost ho ga.e haiñ sabhī saaTh saal ke
apnī taraf se sab kī dalīloñ ko Taal ke
manvā le apnī baat ko sikka uchhāl ke
ye ḳhat kisī ko ḳhuun ke aañsū rulā.egā
kāġhaz pe rakh diyā hai kaleja nikāl ke
maanā ki zindagī se bahut pyaar hai magar
kab tak rakhoge kāñch kā bartan sañbhāl ke
ai mīr-e-kārvāñ mujhe muḌ kar na dekh tū
maiñ aa rahā huuñ paañv se kāñTe nikāl ke
tum ko nayā ye saal mubārak ho dosto
maiñ zaḳhm gin rahā huuñ abhī pichhle saal ke
ġham kī tarah ḳhushī meñ na ronā paḌe kahīñ
rakhnā 'ḳhalīl' ek do aañsū sañbhāl ke
ab ke baras bhi qisse banenge kamal ke
pichhla baras gaya hai kaleja nikal ke
phirte the jin ke kandhon pe hum hath Dal ke
wo dost ho gae hain sabhi saTh sal ke
apni taraf se sab ki dalilon ko Tal ke
manwa le apni baat ko sikka uchhaal ke
ye KHat kisi ko KHun ke aansu rulaega
kaghaz pe rakh diya hai kaleja nikal ke
mana ki zindagi se bahut pyar hai magar
kab tak rakhoge kanch ka bartan sanbhaal ke
ai mir-e-karwan mujhe muD kar na dekh tu
main aa raha hun panw se kanTe nikal ke
tum ko naya ye sal mubarak ho dosto
main zaKHm gin raha hun abhi pichhle sal ke
gham ki tarah KHushi mein na rona paDe kahin
rakhna 'KHalil' ek do aansu sanbhaal ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.