ab ke ghar lauTa to sab badle hue manzar mile
ab ke ghar lauTā to sab badle hue manzar mile
bistaroñ par gard thī bosīda bām-o-dar mile
zālimoñ ne haq-parastī kā liyā jab imtihāñ
daar par ham jāñ-nisārān-e-vatan ke sar mile
āsmāñ ko oḌh kar so jā.iye fōtpath par
kyā zarūrī hai ki har be-ghar ko ik chādar mile
dostoñ se ham ne chāhī thī pazīrā.ī magar
tanz meñ lipTe hue alfāz ke nashtar mile
shāyad ab kī baar ham ko dekh kar pahchān le
vo vafā-nā-āshnā mumkin hai ḳhud baḌh kar mile
ik musalsal justujū hai aur ḳhvāboñ kā safar
ik zamāna ho gayā hai ham ko apnā ghar mile
garmī-e-zauq-e-‘amal tujh ko mubārak rāh-rau
baat to jab hai ki manzil tujh se ḳhud aa kar mile
khiḌkiyāñ kholī ga.ī thiiñ raushnī ke vāste
aur natīja ye huā sho'loñ kī zad meñ ghar mile
shaan hai is vaqt 'razmī' ‘azmat-e-kirdār kī
jo tirī dastār chhīne us ko terā sar mile
ab ke ghar lauTa to sab badle hue manzar mile
bistaron par gard thi bosida baam-o-dar mile
zalimon ne haq-parasti ka liya jab imtihan
dar par hum jaan-nisaran-e-watan ke sar mile
aasman ko oDh kar so jaiye footpath par
kya zaruri hai ki har be-ghar ko ek chadar mile
doston se hum ne chahi thi pazirai magar
tanz mein lipTe hue alfaz ke nashtar mile
shayad ab ki bar hum ko dekh kar pahchan le
wo wafa-na-ashna mumkin hai KHud baDh kar mile
ek musalsal justuju hai aur KHwabon ka safar
ek zamana ho gaya hai hum ko apna ghar mile
garmi-e-zauq-e-‘amal tujh ko mubarak rah-rau
baat to jab hai ki manzil tujh se KHud aa kar mile
khiDkiyan kholi gai thin raushni ke waste
aur natija ye hua sho'lon ki zad mein ghar mile
shan hai is waqt 'razmi' ‘azmat-e-kirdar ki
jo teri dastar chhine us ko tera sar mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.