Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab koi gham hi nahin hai jo rulae mujhko

Ali Imran

ab koi gham hi nahin hai jo rulae mujhko

Ali Imran

MORE BYAli Imran

    ab koī ġham nahīñ hai jo rulā.e mujh ko

    aisā mausam nahīñ hai jo rulā.e mujh ko

    zaḳhm meñ dard nahīñ hai jo uThā.e Tīseñ

    aañkh meñ nam nahīñ hai jo rulā.e mujh ko

    chāñd nārāz nahīñ hai na sitāre haiñ ḳhafā

    raat barham nahīñ hai jo rulā.e mujh ko

    mujh meñ sab kuchh mukammal hai to kis baat dukh

    kuchh kahīñ kam nahīñ hai jo rulā.e mujh ko

    tere hoñToñ se mire zaḳhm chahak uTTheñge

    ye vo marham nahīñ hai jo rulā.e mujh ko

    ai mire ḳhvāb TuuTe maiñ nahīñ TūTūñgā

    tujh meñ vo dam nahīñ hai jo rulā.e mujh ko

    tere jaane pe bhī afsurda nahīñ hai koī

    terā mātam nahīñ hai jo rulā.e mujh ko

    ab koi gham hi nahin hai jo rulae mujh ko

    aisa mausam hi nahin hai jo rulae mujh ko

    zaKHm mein dard nahin hai jo uThae Tisen

    aankh mein nam hi nahin hai jo rulae mujh ko

    chand naraaz nahin hai na sitare hain KHafa

    raat barham hi nahin hai jo rulae mujh ko

    mujh mein sab kuchh hi mukammal hai to kis baat ka dukh

    kuchh kahin kam hi nahin hai jo rulae mujh ko

    tere honTon se mere zaKHm chahak uTThenge

    ye wo marham hi nahin hai jo rulae mujh ko

    ai mere KHwab tu TuTe main nahin TuTunga

    tujh mein wo dam hi nahin hai jo rulae mujh ko

    tere jaane pe bhi afsurda nahin hai koi

    tera matam hi nahin hai jo rulae mujh ko

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now