Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab kya sochen kya haalat the kis karan ye zahr piya hai

Ahmad Faraz

ab kya sochen kya haalat the kis karan ye zahr piya hai

Ahmad Faraz

MORE BYAhmad Faraz

    ab kyā socheñ kyā hālāt the kis kāran ye zahr piyā hai

    ham ne us ke shahr ko chhoḌā aur āñkhoñ ko muuñd liyā hai

    apnā ye sheva to nahīñ thā apne ġham auroñ ko sauñpeñ

    ḳhud to jāgte sote haiñ us ko kyuuñ be-ḳhvāb kiyā hai

    ḳhilqat ke āvāze bhī the band us ke darvāze bhī the

    phir bhī us kūche se guzre phir bhī us naam liyā hai

    hijr rut jāñ-levā thī par ġhalat sabhī andāze nikle

    taaza rifāqat ke mausam tak maiñ bhī jiyā huuñ vo bhī jiyā hai

    ek 'farāz' tumhīñ tanhā ho jo ab tak dukh ke rasiyā ho

    varna aksar dil vāloñ ne dard rasta chhoḌ diyā hai

    ab kya sochen kya haalat the kis karan ye zahr piya hai

    hum ne us ke shahr ko chhoDa aur aankhon ko mund liya hai

    apna ye shewa to nahin tha apne gham auron ko saunpen

    KHud to jagte ya sote hain us ko kyun be-KHwab kiya hai

    KHilqat ke aawaze bhi the band us ke darwaze bhi the

    phir bhi us kuche se guzre phir bhi us ka nam liya hai

    hijr ki rut jaan-lewa thi par ghalat sabhi andaze nikle

    taza rifaqat ke mausam tak main bhi jiya hun wo bhi jiya hai

    ek 'faraaz' tumhin tanha ho jo ab tak dukh ke rasiya ho

    warna aksar dil walon ne dard ka rasta chhoD diya hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ab kya sochen kya haalat the kis karan ye zahr piya hai Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now