ab nahin hai shairi mahdud bas mahbub tak
ab nahīñ hai shā'irī mahdūd bas mahbūb tak
aaj ke shā'ir haiñ pahuñche nit-na.e uslūb tak
ek bas ham hī nahīñ haiñ hijr ke maare yahāñ
silsila ye pohñchtā hai hazrat-e-yāqūb tak
log kyoñ badnām karne par tule haiñ ab use
naam bhī jis kā nahīñ mujh se huā mansūb tak
vaqt kyā badlā ki yuuñ karne lage ḳhāna-ḳharāb
jām-e-jam piite the jo pahuñche haiñ ab mashrūb tak
ghar ko jaanā paḌ gayā hai chhoḌ kar dasht-e-junūñ
hai safar darpesh ham ko ḳhūb-tar se ḳhuub tak
aise logoñ par bhalā kaise na phir aa.eñ 'azāb
jo gunah karne ko bhī samjheñ nahīñ mā'yūb tak
ham ne jaanā hai kahāñ 'shahzād' masjid ke sivā
tāliboñ kī dauḌ hotī hai faqat matlūb tak
ab nahin hai sha'iri mahdud bas mahbub tak
aaj ke sha'ir hain pahunche nit-nae uslub tak
ek bas hum hi nahin hain hijr ke mare yahan
silsila ye pohnchta hai hazrat-e-yaqub tak
log kyon badnam karne par tule hain ab use
nam bhi jis ka nahin mujh se hua mansub tak
waqt kya badla ki yun karne lage KHana-KHarab
jam-e-jam pite the jo pahunche hain ab mashrub tak
ghar ko jaana paD gaya hai chhoD kar dasht-e-junun
hai safar darpesh hum ko KHub-tar se KHub tak
aise logon par bhala kaise na phir aaen 'azab
jo gunah karne ko bhi samjhen nahin ma'yub tak
hum ne jaana hai kahan 'shahzad' masjid ke siwa
talibon ki dauD hoti hai faqat matlub tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.