ab tera zulm-o-sitam bar hua jata hai
ab tirā zulm-o-sitam baar huā jaatā hai
dil ki āmāda-e-paikār huā jaatā hai
tū jise jiit ke ḳhāne meñ biThā kar ḳhush hai
vahī mohra to tirī haar huā jaatā hai
ek zindānī kī halkī sī baġhāvat se tirā
saarā zindān hī jhankār huā jaatā hai
koshish-e-zabt kī pāband zabāñ hai lekin
ek ik lafz girāñ-bār huā jaatā hai
itnī nafrat meñ mohabbat ko pukāreñ kaise
kaam āsāñ hai pa dushvār huā jaatā hai
be-zamīnī kī ḳhalish kāñch sī chubhtī hai 'ġhazal'
aur ye ġham ġham-e-pindār huā jaatā hai
ab tera zulm-o-sitam bar hua jata hai
dil ki aamada-e-paikar hua jata hai
tu jise jit ke KHane mein biTha kar KHush hai
wahi mohra to teri haar hua jata hai
ek zindani ki halki si baghawat se tera
sara zindan hi jhankar hua jata hai
koshish-e-zabt ki paband zaban hai lekin
ek ek lafz giran-bar hua jata hai
itni nafrat mein mohabbat ko pukaren kaise
kaam aasan hai pa dushwar hua jata hai
be-zamini ki KHalish kanch si chubhti hai 'ghazal'
aur ye gham gham-e-pindar hua jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.