ab to aa jao zara mujhko manane yaro
ab to aa jaao zarā mujh ko manāne yaaro
ho ga.e rūThe hue tum ko zamāne yaaro
in ġhamoñ ne bhī mirā saath nahīñ chhoḌā hai
ye ḳhushī aa.ī to bas mujh ko rulāne yaaro
is daf'a jaane vo ab kaisī qayāmat laa.e
aaj aayā hai vo phir vā'da nibhāne yaaro
log jīteñ haiñ bhalā kaise jahāñ meñ hañs kar
maut aaj aa.ī hai ye mujh ko batāne yaaro
dostī 'ishq ho ye dil hī faqat TūTtā hai
kaun phir jaatā hai ab dil ko lagāne yaaro
maiñ gila ġhairoñ se kartā bhī to kaise kartā
tum bhī to aa.e the mujh ko hī girāne yaaro
bāheñ phailā do yā phir koī sazā do mujh ko
maiñ to aayā huuñ gale tum ko lagāne yaaro
ab to aa jao zara mujh ko manane yaro
ho gae ruThe hue tum ko zamane yaro
in ghamon ne bhi mera sath nahin chhoDa hai
ye KHushi aai to bas mujh ko rulane yaro
is daf'a jaane wo ab kaisi qayamat lae
aaj aaya hai wo phir wa'da nibhane yaro
log jiten hain bhala kaise jahan mein hans kar
maut aaj aai hai ye mujh ko batane yaro
dosti 'ishq ho ye dil hi faqat TuTta hai
kaun phir jata hai ab dil ko lagane yaro
main gila ghairon se karta bhi to kaise karta
tum bhi to aae the mujh ko hi girane yaro
bahen phaila do ya phir koi saza do mujh ko
main to aaya hun gale tum ko lagane yaro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.