ab to hairat bhi nahin hoti hai aise kaise
ab to hairat bhī nahīñ hotī hai aise kaise
ye mohabbat bhī dikhātī hai nazāre kaise
ek duniyā hai jo rah rah ke rijhātī hai magar
jis ne dekhā ho tujhe aur ko dekhe kaise
kis ne pūchhā hai sabab yaad nahīñ karne kā
aap to itnā batā.eñ hameñ bhūle kaise
maiñ baḌī der se ā.īna take jaatā huuñ
tum ko bhī log pasand aate haiñ kaise kaise
ab to hairat bhi nahin hoti hai aise kaise
ye mohabbat bhi dikhati hai nazare kaise
ek duniya hai jo rah rah ke rijhati hai magar
jis ne dekha ho tujhe aur ko dekhe kaise
kis ne puchha hai sabab yaad nahin karne ka
aap to itna bataen hamein bhule kaise
main baDi der se aaina take jata hun
tum ko bhi log pasand aate hain kaise kaise
- Book : Udaas Logon Ka Hona Bahut Zaruri Hai (Pg. 112)
- Author : Tarkash Pradeep
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.