ab to har chiz nazar aati hai KHwabon jaisi
ab to har chiiz nazar aatī hai ḳhvāboñ jaisī
bas rahī hai koī shai āñkhoñ meñ nīñdoñ jaisī
aaj māthe pe shikan ubhrī hai dekho to sahī
teḌhī-meḌhī mire hāthoñ kī lakīroñ jaisī
haar phūloñ ke bahut shauq se pahne ham ne
vo latāfat na vo ḳhushbū tirī bāñhoñ jaisī
in ishāroñ meñ kināyoñ meñ hai kyā lutf-e-kalām
harkateñ karte ho bekār hī gūñgoñ jaisī
aise hālāt meñ sūjhegī bhī kyā baat na.ī
kaifiyat zehn kī jab ho tahī jeboñ jaisī
ye koī Dhoñg nayā tum ne rachāyā to nahīñ
shakl kyoñ apnī banā lī hai marīzoñ jaisī
log dā've to bahut karte haiñ ūñche-ūñche
zindagī apnī banā.eñ to rasūloñ jaisī
ab to har chiz nazar aati hai KHwabon jaisi
bas rahi hai koi shai aankhon mein nindon jaisi
aaj mathe pe shikan ubhri hai dekho to sahi
teDhi-meDhi mere hathon ki lakiron jaisi
haar phulon ke bahut shauq se pahne hum ne
wo latafat na wo KHushbu teri banhon jaisi
in ishaaron mein kinayon mein hai kya lutf-e-kalam
harkaten karte ho bekar hi gungon jaisi
aise haalat mein sujhegi bhi kya baat nai
kaifiyat zehn ki jab ho tahi jebon jaisi
ye koi Dhong naya tum ne rachaya to nahin
shakl kyon apni bana li hai marizon jaisi
log da'we to bahut karte hain unche-unche
zindagi apni banaen to rasulon jaisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.