ab to le de ke yahi ek hunar mera hai
ab to le de ke yahī ek hunar merā hai
āsmāñ had hai to uThtā huā sar merā hai
iiñT se iiñT jo bajtī sī nazar aa.e kahīñ
vo 'imārat hī samajh lījiye ghar merā hai
ye bayābān ye sahrā ye samundar ye saḌak
sab ko rad kar ke guzarne kā safar merā hai
ye fasādāt mire ḳhuun ke pyāse haiñ faqat
jo badan bhī hai kahīñ ḳhuun meñ tar merā hai
ai ḳhudā ‘ālam-e-aflāk kā ahvāl sunā
is zamīñ par to sunā hai ki asar merā hai
bebasī ashk bahātī hai mirī mayyat par
dhaḌ kahīñ kaT ke girā hai kahīñ sar merā hai
kyā yahī hai mirī mā'sūm mohabbat kā gunāh
ashk bhī mere garebān bhī tar merā hai
'irtizā' aise bhī jumle the kahīñ tum ne sune
laash ye mere patī kī ye pisar merā hai
ab to le de ke yahi ek hunar mera hai
aasman had hai to uThta hua sar mera hai
inT se inT jo bajti si nazar aae kahin
wo 'imarat hi samajh lijiye ghar mera hai
ye bayaban ye sahra ye samundar ye saDak
sab ko rad kar ke guzarne ka safar mera hai
ye fasadat mere KHun ke pyase hain faqat
jo badan bhi hai kahin KHun mein tar mera hai
ai KHuda ‘alam-e-aflak ka ahwal suna
is zamin par to suna hai ki asar mera hai
bebasi ashk bahati hai meri mayyat par
dhaD kahin kaT ke gira hai kahin sar mera hai
kya yahi hai meri ma'sum mohabbat ka gunah
ashk bhi mere gareban bhi tar mera hai
'irtiza' aise bhi jumle the kahin tum ne sune
lash ye mere pati ki ye pisar mera hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.