ab wo betabi-e-jaan kahe ki wahshat kaisi
ab vo betābi-e-jāñ kaahe kī vahshat kaisī
us se bichhḌe haiñ to hāsil hai farāġhat kaisī
jaan ham kār-e-mohabbat kā sila chāhte the
dil-e-sāda koī mazdūr hai ujrat kaisī
'umr kyā chiiz hai ehsās-e-ziyāñ ke aage
ek hī shab meñ badal jaatī hai sūrat kaisī
sham'-e-ḳhema koī zanjīr nahīñ ham-safarāñ
jis ko jaanā hai chalā jaa.e ijāzat kaisī
is zamīñ par mire yaktā tire timsāl bahut
ā.ina-ḳhāne meñ aayā hai to hairat kaisī
dil agar dil hai to dariyā se baḌā honā hai
sar agar sar hai to nezoñ se shikāyat kaisī
ab wo betabi-e-jaan kahe ki wahshat kaisi
us se bichhDe hain to hasil hai faraghat kaisi
jaan hum kar-e-mohabbat ka sila chahte the
dil-e-sada koi mazdur hai ujrat kaisi
'umr kya chiz hai ehsas-e-ziyan ke aage
ek hi shab mein badal jati hai surat kaisi
sham'-e-KHema koi zanjir nahin ham-safaran
jis ko jaana hai chala jae ijazat kaisi
is zamin par mere yakta tere timsal bahut
aaina-KHane mein aaya hai to hairat kaisi
dil agar dil hai to dariya se baDa hona hai
sar agar sar hai to nezon se shikayat kaisi
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 66)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.