Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

abe sale teri mahfil ka naqsha aur hi kuchh hai

Boom Merathi

abe sale teri mahfil ka naqsha aur hi kuchh hai

Boom Merathi

MORE BYBoom Merathi

    abe saale tirī mahfil naqsha aur kuchh hai

    vo duniyā aur kuchh hai ye duniyā aur kuchh hai

    shab-e-va.ada mujhe bahlā rahe ho bosa de de kar

    idhar aao ajī merī tamanna aur kuchh hai

    adū thāne maiñ baiThā vo shifā-ḳhāne meñ leTe haiñ

    mirī dānist meñ ye to aḌañgā aur kuchh hai

    muḳhālif party pichhle mazāmīnoñ ko rotī hai

    hamārī shā.erī aaj duniyā aur kuchh hai

    adū ke saath tum jaate ho agar cinemāoñ meñ

    ḳhabar bhī hai tumheñ us irāda aur kuchh hai

    na maiñ bosoñ se raazī huuñ na raazī huuñ lipaTne se

    tire sar qasam merī tamanna aur kuchh hai

    jo tum kahte ho dushman ko police vāloñ se piTvā do

    zarā Thahro abhī merā irāda aur kuchh hai

    abe chāragaroñ kyā fā.eda hogā davāoñ se

    mire dard-e-mohabbat mudāvā aur kuchh hai

    vo pankhā jhal rahe haiñ aur adū soyā hai ḳhalvat meñ

    samajh meñ aa gayā ab to ye ragḌā aur kuchh hai

    gale meñ pā.ejāma sar pe juute paañv meñ Topī

    janāb-e-'būm' vahshat meñ naqsha aur kuchh hai

    abe sale teri mahfil ka naqsha aur hi kuchh hai

    wo duniya aur hi kuchh hai ye duniya aur hi kuchh hai

    shab-e-wada mujhe bahla rahe ho bosa de de kar

    idhar aao aji meri tamanna aur hi kuchh hai

    adu thane main baiTha wo shifa-KHane mein leTe hain

    meri danist mein ye to aDanga aur hi kuchh hai

    muKHalif party pichhle mazaminon ko roti hai

    hamari shaeri ki aaj duniya aur hi kuchh hai

    adu ke sath tum jate ho agar cinemaon mein

    KHabar bhi hai tumhein us ka irada aur hi kuchh hai

    na main boson se raazi hun na raazi hun lipaTne se

    tere sar ki qasam meri tamanna aur hi kuchh hai

    jo tum kahte ho dushman ko police walon se piTwa do

    zara Thahro abhi mera irada aur hi kuchh hai

    abe chaaragaron kya faeda hoga dawaon se

    mere dard-e-mohabbat ka mudawa aur hi kuchh hai

    wo pankha jhal rahe hain aur adu soya hai KHalwat mein

    samajh mein aa gaya ab to ye ragDa aur hi kuchh hai

    gale mein paejama sar pe jute panw mein Topi

    janab-e-'bum' ka wahshat mein naqsha aur hi kuchh hai

    Source:

    Intikhab-e-Kalam-e-Boom (Pg. 34)

      • Publisher: Jawahar Book Depot, Meerut
      • Year of Publication: 1980

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now