abhi garaj kar baras paDega yahi main pagal samajh raha tha

abhi garaj kar baras paDega yahi main pagal samajh raha tha
Deepak Agrawal
MORE BYDeepak Agrawal
abhī garaj kar baras paḌegā yahī maiñ pāgal samajh rahā thā
vo koī TukḌā ḳhayāl kā thā jise maiñ bādal samajh rahā thā
baras na jaa.eñ kahīñ ye āñkheñ jo nam bhī hoñ to sañbhal sañbhal kar
zarā sī sahmī huī thiiñ palkeñ zarā sā kājal samajh rahā thā
kahāñ ye uljhe kahāñ ye suljhe kahāñ ye machle kahāñ ye sañbhle
ki vaqt kī sab nazākatoñ ko tumhārā āñchal samajh rahā thā
ye kyā karishme se koī kam hai kisī ne dekhā na us ko jaanā
bahut dinoñ se zamāna phir bhī use mukammal samajh rahā thā
jo ek manzar guzar rahā thā thamā huā hai vo mere dil meñ
na jaane kyoñ maiñ kisī nagar ko butoñ kā jangal samajh rahā thā
ye sirf dhokā thā us nazar kā yā koī maqsad chhupā thā is meñ
tū us ke hī rū-ba-rū thā 'dīpak' tujhe vo ojhal samajh rahā thā
abhi garaj kar baras paDega yahi main pagal samajh raha tha
wo koi TukDa KHayal ka tha jise main baadal samajh raha tha
baras na jaen kahin ye aankhen jo nam bhi hon to sanbhal sanbhal kar
zara si sahmi hui thin palken zara sa kajal samajh raha tha
kahan ye uljhe kahan ye suljhe kahan ye machle kahan ye sanbhle
ki waqt ki sab nazakaton ko tumhaara aanchal samajh raha tha
ye kya karishme se koi kam hai kisi ne dekha na us ko jaana
bahut dinon se zamana phir bhi use mukammal samajh raha tha
jo ek manzar guzar raha tha thama hua hai wo mere dil mein
na jaane kyon main kisi nagar ko buton ka jangal samajh raha tha
ye sirf dhoka tha us nazar ka ya koi maqsad chhupa tha is mein
tu us ke hi ru-ba-ru tha 'dipak' tujhe wo ojhal samajh raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.