abhi ek dafa thi mili nazar hue dilruba ki bichhaD gae

abhi ek dafa thi mili nazar hue dilruba ki bichhaD gae
Aharas siddiqui
MORE BYAharas siddiqui
abhī ik daf'a thī milī nazar hue dilrubā ki bichhaḌ ga.e
kisī ajnabī se zarā zarā hue āshnā ki bichhaḌ ga.e
mujhe ham-safar jo 'azīz thā mujhe ham-safar vo milā nahīñ
na safar meñ vo mire saath hai mire paas aa ki bichhaḌ ga.e
huī hai du'ā jo qubūl ab mujhe rāste meñ milī thī vo
vo mujhe dikhī maiñ use dikhā huā sāmnā ki bichhaḌ ga.e
sabhī kashtiyoñ pe savār the mirā ham-nashīñ to dikhā nahīñ
mirī baat sun mire nāḳhudā zarā Thahr jā ki bichhaḌ ga.e
kisī bevafā se hoñ qurbateñ ye kisī 'azāb se kam nahīñ
ai mire ḳhudā tirā shukriya ye sahī huā ki bichhaḌ ga.e
yahī qismatoñ kā zavāl thā mirī ziist meñ na visāl thā
kabhī ro ke ham se bichhaḌ ga.e kabhī muskurā ki bichhaḌ ga.e
kisī bevafā se lagā ke dil na kiyā karo ye shikāyateñ
use 'ahras' apnī vafā.eñ diiñ huī kyā ḳhatā ki bichhaḌ ga.e
abhi ek daf'a thi mili nazar hue dilruba ki bichhaD gae
kisi ajnabi se zara zara hue aashna ki bichhaD gae
mujhe ham-safar jo 'aziz tha mujhe ham-safar wo mila nahin
na safar mein wo mere sath hai mere pas aa ki bichhaD gae
hui hai du'a jo qubul ab mujhe raste mein mili thi wo
wo mujhe dikhi main use dikha hua samna ki bichhaD gae
sabhi kashtiyon pe sawar the mera ham-nashin to dikha nahin
meri baat sun mere naKHuda zara Thahr ja ki bichhaD gae
kisi bewafa se hon qurbaten ye kisi 'azab se kam nahin
ai mere KHuda tera shukriya ye sahi hua ki bichhaD gae
yahi qismaton ka zawal tha meri zist mein na visal tha
kabhi ro ke hum se bichhaD gae kabhi muskura ki bichhaD gae
kisi bewafa se laga ke dil na kiya karo ye shikayaten
use 'ahras' apni wafaen din hui kya KHata ki bichhaD gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.