abhi jhagaDna abhi manana koi sunega to kya kahega

abhi jhagaDna abhi manana koi sunega to kya kahega
Shaad Fidai Dehlvi
MORE BYShaad Fidai Dehlvi
abhī jhagaḌnā abhī manānā koī sunegā to kyā kahegā
jahāñ kā ehsās kuchh to hotā koī sunegā to kyā kahegā
uThā na ab haath ai masīhā koī sunegā to kyā kahegā
huā na tujh se mirā mudāvā koī sunegā to kyā kahegā
jo the payambar masarratoñ ke jo raushnī sab ko bāñTte the
unhī ke ghar meñ hai ab añdherā koī sunegā to kyā kahegā
kabhī zabānoñ pe hai laḌā.ī kabhī 'aqīdoñ pe hāthā-pā.ī
ye haal hai ghar meñ bhā.iyoñ kā koī sunegā to kyā kahegā
kahīñ na uñglī uThe jahāñ kī milo na dil se hameñ gavāra
magar ta'alluq na toḌ denā koī sunegā to kyā kahegā
banī hai merī nazar savālī javāb bhī tum nazar se denā
ye soch kar apne lab hilānā koī sunegā to kyā kahegā
maiñ jāntā huuñ maiñ māntā huuñ kisī se dukh bāñTnā hai achchhā
savāl to hai mirī anā kā koī sunegā to kyā kahegā
batāo ai 'shād' raaz kyā hai ye bahkī bahkī tumhārī bāteñ
ye sar-phiroñ jaisā baḌbaḌānā koī sunegā to kyā kahegā
abhi jhagaDna abhi manana koi sunega to kya kahega
jahan ka ehsas kuchh to hota koi sunega to kya kahega
uTha na ab hath ai masiha koi sunega to kya kahega
hua na tujh se mera mudawa koi sunega to kya kahega
jo the payambar masarraton ke jo raushni sab ko banTte the
unhi ke ghar mein hai ab andhera koi sunega to kya kahega
kabhi zabanon pe hai laDai kabhi 'aqidon pe hatha-pai
ye haal hai ghar mein bhaiyon ka koi sunega to kya kahega
kahin na ungli uThe jahan ki milo na dil se hamein gawara
magar ta'alluq na toD dena koi sunega to kya kahega
bani hai meri nazar sawali jawab bhi tum nazar se dena
ye soch kar apne lab hilana koi sunega to kya kahega
main jaanta hun main manta hun kisi se dukh banTna hai achchha
sawal to hai meri ana ka koi sunega to kya kahega
batao ai 'shad' raaz kya hai ye bahki bahki tumhaari baaten
ye sar-phiron jaisa baDbaDana koi sunega to kya kahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.