abhi maine use dekha nahin hai
abhī maiñ ne use dekhā nahīñ hai
ḳhudā jaane vo hai bhī yā nahīñ hai
isī duniyā meñ ḳhushiyāñ DhūñDhtā huuñ
karūñ kyā dūsrī duniyā nahīñ hai
ye dil andar hī andar jal rahā hai
bahut din ho ga.e royā nahīñ hai
subah se āsmāñ ḳhālī paḌā hai
parinda ek bhī uḌtā nahīñ hai
maiñ aise shahr meñ rahtā huuñ 'alvī'
jahāñ pul haiñ magar dariyā nahīñ hai
abhi main ne use dekha nahin hai
KHuda jaane wo hai bhi ya nahin hai
isi duniya mein KHushiyan DhunDhta hun
karun kya dusri duniya nahin hai
ye dil andar hi andar jal raha hai
bahut din ho gae roya nahin hai
subah se aasman KHali paDa hai
parinda ek bhi uDta nahin hai
main aise shahr mein rahta hun 'alwi'
jahan pul hain magar dariya nahin hai
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 125)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.