abhi to aur bhi din barishon ke aane the
abhī to aur bhī din bārishoñ ke aane the
karishme saare use aaj hī dikhāne the
hiqārateñ hī milīñ ham ko zang-ālūda
diloñ meñ yuuñ to ka.ī qism ke ḳhazāne the
ye dasht tel kā pyāsā na thā ḳhudā-vandā
yahāñ to chaar chhe dariyā tujhe bahāne the
kisī se koī ta'alluq rahā na ho jaise
kuchh is tarah se guzarte hue zamāne the
parinde duur fazāoñ meñ kho ga.e 'alvī
ujaaḌ ujaaḌ daraḳhtoñ pe āshiyāne the
abhi to aur bhi din barishon ke aane the
karishme sare use aaj hi dikhane the
hiqaraten hi milin hum ko zang-aluda
dilon mein yun to kai qism ke KHazane the
ye dasht tel ka pyasa na tha KHuda-wanda
yahan to chaar chhe dariya tujhe bahane the
kisi se koi ta'alluq raha na ho jaise
kuchh is tarah se guzarte hue zamane the
parinde dur fazaon mein kho gae 'alwi
ujaD ujaD daraKHton pe aashiyane the
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 54)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.