abhi to rah mein baqi hain imtihan bahut
abhī to raah meñ baaqī haiñ imtihān bahut
abhī to duur hai vo āḳhirī nishān bahut
zamīñ pe gir ke pashemāñ thā āsmān bahut
ki pastiyoñ ko bhī ‘azmat kā thā gumān bahut
ḳhud apne pairoñ pe vo peḌ jhuk gayā ik din
dikhā rahā thā jo duniyā ko ān-bān bahut
añdherī raat meñ sab ko panāh dī jis ne
chamaktī sub.h meñ tanhā thā vo makān bahut
saroñ pe saiñkaḌoñ sūraj hoñ aag barsāte
panāh lene ko bas ek sā.ebān bahut
abhi to rah mein baqi hain imtihan bahut
abhi to dur hai wo aaKHiri nishan bahut
zamin pe gir ke pasheman tha aasman bahut
ki pastiyon ko bhi ‘azmat ka tha guman bahut
KHud apne pairon pe wo peD jhuk gaya ek din
dikha raha tha jo duniya ko aan-ban bahut
andheri raat mein sab ko panah di jis ne
chamakti subh mein tanha tha wo makan bahut
saron pe sainkaDon suraj hon aag barsate
panah lene ko bas ek saeban bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.