aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

abhi zamin ko sauda bahut saron ka hai

Asad Badayuni

abhi zamin ko sauda bahut saron ka hai

Asad Badayuni

MORE BYAsad Badayuni

    abhī zamīn ko saudā bahut saroñ hai

    jamāv donoñ mahāzoñ pe lashkaroñ hai

    kisī ḳhayāl kisī ḳhvāb ke sivā kyā haiñ

    vo bastiyāñ ki jahāñ silsila gharoñ hai

    ufuq pe jaane ye kyā shai tulū hotī hai

    samāñ ajiib pur-asrār paikaroñ hai

    ye shahr chhoḌ ke jaanā bhī mārka hogā

    ajiib rabt imārat se pattharoñ hai

    vo ek phuul jo bahtā hai satah-e-dariyā par

    use ḳhabar hai ki kyā dukh shanāvaroñ hai

    utar gayā hai vo dariyā jo thā chaḌhāo par

    bas ab jamāv kināroñ pe pattharoñ hai

    abhi zamin ko sauda bahut saron ka hai

    jamaw donon mahazon pe lashkaron ka hai

    kisi KHayal kisi KHwab ke siwa kya hain

    wo bastiyan ki jahan silsila gharon ka hai

    ufuq pe jaane ye kya shai tulu hoti hai

    saman ajib pur-asrar paikaron ka hai

    ye shahr chhoD ke jaana bhi marka hoga

    ajib rabt imarat se pattharon ka hai

    wo ek phul jo bahta hai satah-e-dariya par

    use KHabar hai ki kya dukh shanawaron ka hai

    utar gaya hai wo dariya jo tha chaDhao par

    bas ab jamaw kinaron pe pattharon ka hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    abhi zamin ko sauda bahut saron ka hai Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now