adawaten nasib ho ke rah gain
'adāvateñ nasīb ho ke rah ga.iiñ
mohabbateñ raqīb ho ke rah ga.iiñ
parind haiñ na āñganoñ meñ peḌ haiñ
ye bastiyāñ 'ajīb ho ke rah ga.iiñ
taras rahī haiñ yuuñ bahār ko ruteñ
ġharīb kā nasīb ho ke rah ga.iiñ
bas ek pal dhanak kī saarī shoḳhiyāñ
mire bahut qarīb ho ke rah ga.iiñ
mire dukhoñ kā zikr shahr shahr hai
udāsiyāñ naqīb ho ke rah ga.iiñ
maiñ ḳhud se jab bichhaḌ ga.ī to bas tirī
du'ā.eñ hī habīb ho ke rah ga.iiñ
rivāyatoñ kī qatl-gāh-e-‘ishq meñ
ye laḌkiyāñ salīb ho ke rah ga.iiñ
'adawaten nasib ho ke rah gain
mohabbaten raqib ho ke rah gain
parind hain na aanganon mein peD hain
ye bastiyan 'ajib ho ke rah gain
taras rahi hain yun bahaar ko ruten
gharib ka nasib ho ke rah gain
bas ek pal dhanak ki sari shoKHiyan
mere bahut qarib ho ke rah gain
mere dukhon ka zikr shahr shahr hai
udasiyan naqib ho ke rah gain
main KHud se jab bichhaD gai to bas teri
du'aen hi habib ho ke rah gain
riwayaton ki qatl-gah-e-‘ishq mein
ye laDkiyan salib ho ke rah gain
- Book : Ek Diya Aur Ek Phool (Pg. 50)
- Author : Ishrat Afreen
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.