adibon shairon se yariyon mein
adīboñ shā'iroñ se yāriyoñ meñ
rahe masrūf ham be-kāriyoñ meñ
khilā karte the kyā kyā bel-būTe
diloñ kī kyāriyoñ phulvāriyoñ meñ
baḌā lutf aa rahā hai zindagī kā
hameñ din raat kī bezāriyoñ meñ
ga.e to ham bhī the lekin unhoñ ne
nahīñ rakkhā hameñ darbāriyoñ meñ
bhalā piine se bujhtī hai kahīñ pyaas
hue bas ḳhvār ham mai-ḳhvāriyoñ meñ
davā.eñ be-asar hotī haiñ sābit
mohabbat hai burī bīmāriyoñ meñ
'shu'ūr' apnī safā.ī mat karo pesh
raho mashġhūl bad-kirdāriyoñ meñ
adibon sha'iron se yariyon mein
rahe masruf hum be-kariyon mein
khila karte the kya kya bel-buTe
dilon ki kyariyon phulwariyon mein
baDa lutf aa raha hai zindagi ka
hamein din raat ki bezariyon mein
gae to hum bhi the lekin unhon ne
nahin rakkha hamein darbariyon mein
bhala pine se bujhti hai kahin pyas
hue bas KHwar hum mai-KHwariyon mein
dawaen be-asar hoti hain sabit
mohabbat hai buri bimariyon mein
'shu'ur' apni safai mat karo pesh
raho mashghul bad-kirdariyon mein
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 146)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.