adu ke zulm tumhaare itab dekhenge
'adū ke zulm tumhāre 'itāb dekheñge
dikhā.egā jo falak inqilāb dekheñge
banā banā ke sunā.eñge qissa-e-gesū
sunā sunā ke tire pech-o-tāb dekheñge
jaḌe haiñ kaun se ḳhurshīd-e-charḳh meñ taare
tumhāre ruḳh se haTā kar naqāb dekheñge
shikasta-pā.ī-e-himmat se hai yaqīn hameñ
bulandiyoñ meñ bhī pastī ke ḳhvāb dekheñge
laḌā.ī aañkh raqīboñ se nashsha-e-mai meñ
magar vo is kā natīja ḳharāb dekheñge
kahāñ bahisht bhalā vā’izo kahāñ ham tum
'azāb dekh rahe haiñ 'azāb dekheñge
sunegā kyā koī 'sultāñ' kā haal mahshar meñ
jidhar vo hoñge udhar shaiḳh-o-shāb dekheñge
'adu ke zulm tumhaare 'itab dekhenge
dikhaega jo falak inqilab dekhenge
bana bana ke sunaenge qissa-e-gesu
suna suna ke tere pech-o-tab dekhenge
jaDe hain kaun se KHurshid-e-charKH mein tare
tumhaare ruKH se haTa kar naqab dekhenge
shikasta-pai-e-himmat se hai yaqin hamein
bulandiyon mein bhi pasti ke KHwab dekhenge
laDai aankh raqibon se nashsha-e-mai mein
magar wo is ka natija KHarab dekhenge
kahan bahisht bhala wa’izo kahan hum tum
'azab dekh rahe hain 'azab dekhenge
sunega kya koi 'sultan' ka haal mahshar mein
jidhar wo honge udhar shaiKH-o-shab dekhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.