aflak chirti hui aage nikal gai
aflāk chīrtī huī aage nikal ga.ī
phir aah ik maqām pe jā kar sañbhal ga.ī
bas dekhte hī dekhte ye hādisa huā
gaaḌī hī itnī tez thī sapne kuchal ga.ī
maiñ ne tamām 'umr mohabbat meñ kaaT dī
bal bhī nahīñ gayā mirā rassī bhī jal ga.ī
is ret jaisī zindagī ko sochtā huuñ ab
kitnī bachī ye haath meñ kitnī phisal ga.ī
kal shab yahāñ pe kyā huā duniyā ko kyā ḳhabar
tanhā.ī mujh ko bhuuk se zinda nigal ga.ī
aflak chirti hui aage nikal gai
phir aah ek maqam pe ja kar sanbhal gai
bas dekhte hi dekhte ye hadisa hua
gaDi hi itni tez thi sapne kuchal gai
main ne tamam 'umr mohabbat mein kaT di
bal bhi nahin gaya mera rassi bhi jal gai
is ret jaisi zindagi ko sochta hun ab
kitni bachi ye hath mein kitni phisal gai
kal shab yahan pe kya hua duniya ko kya KHabar
tanhai mujh ko bhuk se zinda nigal gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.