afsurda bahut hai dil-e-nakaam bahut hai
afsurda bahut hai dil-e-nākām bahut hai
kaT jaa.e agar ḳhair se ye shaam bahut hai
dard-e-dil-e-betāb kā socho na mudāvā
yaaro mujhe is dard meñ ārām bahut hai
hamrāh mire tujh ko kisī ne nahīñ dekhā
kahne ko tire saath mirā naam bahut hai
sochā huā puurā kabhī hone nahīñ detā
ye vaqt jo is kaam meñ badnām bahut hai
kuchh karne kī zahmat na kareñ aap gavārā
Dhāne ko sitam gardish-e-ayyām bahut hai
har shaḳhs ko haq hai ki har ik shai ko vo jaane
kyā chiiz bahut ḳhaas hai kyā 'aam bahut hai
mā'nī nahīñ ban paḌte kabhī shor-o-shaġhaf ke
daldal kī tarah dil meñ to kohrām bahut hai
sahrā meñ ḳhabar-dār abhī qais na banñā
ai ahl-e-junūñ jazb-e-darūñ ḳhaam bahut hai
sunte haiñ vahī asl meñ shā'ir hai 'nishāte'
mash.hūr bahut hai kahīñ gumnām bahut hai
afsurda bahut hai dil-e-nakaam bahut hai
kaT jae agar KHair se ye sham bahut hai
dard-e-dil-e-betab ka socho na mudawa
yaro mujhe is dard mein aaram bahut hai
hamrah mere tujh ko kisi ne nahin dekha
kahne ko tere sath mera nam bahut hai
socha hua pura kabhi hone nahin deta
ye waqt jo is kaam mein badnam bahut hai
kuchh karne ki zahmat na karen aap gawara
Dhane ko sitam gardish-e-ayyam bahut hai
har shaKHs ko haq hai ki har ek shai ko wo jaane
kya chiz bahut KHas hai kya 'am bahut hai
ma'ni nahin ban paDte kabhi shor-o-shaghaf ke
daldal ki tarah dil mein to kohram bahut hai
sahra mein KHabar-dar abhi qais na banna
ai ahl-e-junun jazb-e-darun KHam bahut hai
sunte hain wahi asl mein sha'ir hai 'nishate'
mashhur bahut hai kahin gumnam bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.