aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

agar ghaflat se baz aaya jafa ki

Momin Khan Momin

agar ghaflat se baz aaya jafa ki

Momin Khan Momin

MORE BYMomin Khan Momin

    agar ġhaflat se baaz aayā jafā

    talāfī bhī zālim ne to kyā

    mare āġhāz-e-ulfat meñ ham afsos

    use bhī rah ga.ī hasrat jafā

    kabhī insāf dekhā na dīdār

    qayāmat aksar us meñ rahā

    falak ke haath se maiñ chhupūñ gar

    ḳhabar de koī tahtus-sarā

    shab-e-vasl-e-adū kyā kyā jalā huuñ

    haqīqat khul ga.ī roz-e-jazā

    chaman meñ koī us se na aayā

    ga.ī barbād sab mehnat sabā

    kushād-e-dil pe bāñdhī hai kamar aaj

    nahīñ hai ḳhairiyat band-e-qabā

    kiyā jab iltifāt us ne zarā

    paḌī ham ko husūl-e-mudda.ā

    kahā hai ġhair ne tum se mirā haal

    kahe detī hai bebākī adā

    tumheñ shor-e-fuġhāñ se mere kyā kaam

    ḳhabar lo apnī chashm-e-surma-sā

    diyā ilm o hunar hasrat-kashī ko

    falak ne mujh se ye kaisī daġhā

    ġham-e-maqsad-rasī naza.a aur ham

    ab aa.ī maut baḳht-e-nā-rasā

    mujhe ai dil tirī jaldī ne maarā

    nahīñ taqsīr us der-āshnā

    jafā se thak ga.e to bhī na pūchhā

    ki ne kis tavaqqo par vafā

    kahā us but se martā huuñ to 'momin'

    kahā maiñ kyā karūñ marzī ḳhudā

    agar ghaflat se baz aaya jafa ki

    talafi ki bhi zalim ne to kya ki

    mare aaghaz-e-ulfat mein hum afsos

    use bhi rah gai hasrat jafa ki

    kabhi insaf hi dekha na didar

    qayamat aksar us ku mein raha ki

    falak ke hath se main ja chhupun gar

    KHabar la de koi tahtus-sara ki

    shab-e-wasl-e-adu kya kya jala hun

    haqiqat khul gai roz-e-jaza ki

    chaman mein koi us ku se na aaya

    gai barbaad sab mehnat saba ki

    kushad-e-dil pe bandhi hai kamar aaj

    nahin hai KHairiyat band-e-qaba ki

    kiya jab iltifat us ne zara sa

    paDi hum ko husul-e-muddaa ki

    kaha hai ghair ne tum se mera haal

    kahe deti hai bebaki ada ki

    tumhein shor-e-fughan se mere kya kaam

    KHabar lo apni chashm-e-surma-sa ki

    diya ilm o hunar hasrat-kashi ko

    falak ne mujh se ye kaisi dagha ki

    gham-e-maqsad-rasi ta naza aur hum

    ab aai maut baKHt-e-na-rasa ki

    mujhe ai dil teri jaldi ne mara

    nahin taqsir us der-ashna ki

    jafa se thak gae to bhi na puchha

    ki tu ne kis tawaqqo par wafa ki

    kaha us but se marta hun to 'momin'

    kaha main kya karun marzi KHuda ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now