agar gul mein pyare teri bu na howe
agar gul meñ pyāre tirī bū na hove
vo manzūr-e-bulbul kisī rū na hove
tire bin to firdaus mujh ko jahannam
qayāmat ho mujh par agar tū na hove
ho us bazm meñ sham.a kab raunaq-afzā
jahāñ mahfil-afroz mah-rū na hove
ye ā.īna le jā ke patthar se phoḌūñ
parī kā agar darmiyāñ rū na hove
mahaktī hai zulf-e-siyah us kī har raat
kahīñ us meñ 'ishq' itr-e-shabbū na hove
agar gul mein pyare teri bu na howe
wo manzur-e-bulbul kisi ru na howe
tere bin to firdaus mujh ko jahannam
qayamat ho mujh par agar tu na howe
ho us bazm mein shama kab raunaq-afza
jahan mahfil-afroz mah-ru na howe
ye aaina le ja ke patthar se phoDun
pari ka agar darmiyan ru na howe
mahakti hai zulf-e-siyah us ki har raat
kahin us mein 'ishq' itr-e-shabbu na howe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.