agar kuchh waqt mil jata to phir pyasa nahin rahta

agar kuchh waqt mil jata to phir pyasa nahin rahta
Sanjay Shukla Talkh
MORE BYSanjay Shukla Talkh
agar kuchh vaqt mil jaatā to phir pyāsā nahīñ rahtā
magar hāthoñ meñ mere der tak shīsha nahīñ rahtā
ġham apne Daal kar is meñ sab apnī raah lete haiñ
ziyāda der tak ḳhālī mirā kaasa nahīñ rahtā
ye jīvan to faqat ik silsila hai chakrvyūhoñ kā
yahāñ se bach nikalne kā koī rasta nahīñ rahtā
ye mehmāñ hai ise jaane kī har dam jaldī rahtī hai
mire ghar meñ ziyāda der tak paisa nahīñ rahtā
'ajab sī murdanī hai aur har kone meñ ḳhāmoshī
ye kaisā ghar hai kyā is meñ koī bachcha nahīñ rahtā
haiñ ġhazleñ 'talḳh' kī anmol par jo chāhe le jaa.e
yaqīñ kar is ḳhazāne par koī pahra nahīñ rahtā
agar kuchh waqt mil jata to phir pyasa nahin rahta
magar hathon mein mere der tak shisha nahin rahta
gham apne Dal kar is mein sab apni rah lete hain
ziyaada der tak KHali mera kasa nahin rahta
ye jiwan to faqat ek silsila hai chakrwyuhon ka
yahan se bach nikalne ka koi rasta nahin rahta
ye mehman hai ise jaane ki har dam jaldi rahti hai
mere ghar mein ziyaada der tak paisa nahin rahta
'ajab si murdani hai aur har kone mein KHamoshi
ye kaisa ghar hai kya is mein koi bachcha nahin rahta
hain ghazlen 'talKH' ki anmol par jo chahe le jae
yaqin kar is KHazane par koi pahra nahin rahta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.