agar masarrat mein gham ba-farz-e-muhaal aaya to kya karoge
agar masarrat meñ ġham ba-farz-e-muhāl aayā to kyā karoge
har ek lamha sadī ho jis kā vo saal aayā to kyā karoge
ye maiñ ne maanā mire ġhamoñ se tumheñ koī vāsta nahīñ hai
magar kabhī kī navāzishoñ kā ḳhayāl aayā to kyā karoge
jafā agar koī maslahat hai chalo hameñ har jafā gavārā
dil aise nāzuk-tarīn shīshe meñ baal aayā to kyā karoge
mohabbat ik jabr-e-be-amāñ hai ki zor chaltā nahīñ kisī kā
tumhārā dil bhī hamāre dil kī misāl aayā to kyā karoge
'ināyat-e-be-talab se pahle navāzish-e-be-amāñ kī ḳhātir
tumhāre qadmoñ pe har tamanna maiñ Daal aayā to kyā karoge
zamāna naqqād-e-mustaqil hai koī bachā hai na bach sakegā
'urūj kā saath dene vaalo zavāl aayā to kyā karoge
mohabbat ik qadr-e-mushtarak hai 'sirāj' jalnā hai merī qismat
maiñ sochtā huuñ tumhāre dil kā savāl aayā to kyā karoge
agar masarrat mein gham ba-farz-e-muhaal aaya to kya karoge
har ek lamha sadi ho jis ka wo sal aaya to kya karoge
ye main ne mana mere ghamon se tumhein koi wasta nahin hai
magar kabhi ki nawazishon ka KHayal aaya to kya karoge
jafa agar koi maslahat hai chalo hamein har jafa gawara
dil aise nazuk-tarin shishe mein baal aaya to kya karoge
mohabbat ek jabr-e-be-aman hai ki zor chalta nahin kisi ka
tumhaara dil bhi hamare dil ki misal aaya to kya karoge
'inayat-e-be-talab se pahle nawazish-e-be-aman ki KHatir
tumhaare qadmon pe har tamanna main Dal aaya to kya karoge
zamana naqqad-e-mustaqil hai koi bacha hai na bach sakega
'uruj ka sath dene walo zawal aaya to kya karoge
mohabbat ek qadr-e-mushtarak hai 'siraj' jalna hai meri qismat
main sochta hun tumhaare dil ka sawal aaya to kya karoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.