Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

agar mausam suhana chahiye tha

Kalim Shadab

agar mausam suhana chahiye tha

Kalim Shadab

MORE BYKalim Shadab

    agar mausam suhānā chāhiye thā

    tumheñ bārish meñ aanā chāhiye thā

    añdheroñ agar thā ḳhauf dil meñ

    tumheñ sūraj ugānā chāhiye thā

    tumhārī yaad aa.e be-sabab kyoñ

    ġhazal ko to bahāna chāhiye thā

    masal kar phuul āḳhir mil gayā kyā

    hamārā ḳhuuñ bahānā chāhiye thā

    chhupā mat ḳhaak meñ aañsū girā kar

    samundar ko dikhānā chāhiye thā

    amīr-e-shahr barham is liye hai

    use ḳhātir meñ laanā chāhiye thā

    agar haq baat tā.īd thī

    falak sar par uThānā chāhiye thā

    agarche ḳhaar rāh-e-'ishq meñ the

    tumheñ chalnā bhī aanā chāhiye thā

    banā kar aa.ina kyoñ zulm Dhāyā

    hameñ patthar banānā chāhiye thā

    sitāre TūTte rahte haiñ ḳhud

    falak se chāñd laanā chāhiye thā

    agar mausam suhana chahiye tha

    tumhein barish mein aana chahiye tha

    andheron ka agar tha KHauf dil mein

    tumhein suraj ugana chahiye tha

    tumhaari yaad aae be-sabab kyon

    ghazal ko to bahana chahiye tha

    masal kar phul aaKHir mil gaya kya

    hamara KHun bahana chahiye tha

    chhupa mat KHak mein aansu gira kar

    samundar ko dikhana chahiye tha

    amir-e-shahr barham is liye hai

    use KHatir mein lana chahiye tha

    agar haq baat ki taid ki thi

    falak sar par uThana chahiye tha

    agarche KHar rah-e-'ishq mein the

    tumhein chalna bhi aana chahiye tha

    bana kar aaina kyon zulm Dhaya

    hamein patthar banana chahiye tha

    sitare TuTte rahte hain KHud hi

    falak se chand lana chahiye tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now