Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

agar nahin qasd ai zalim mere dil ke satane ka

Abdul Wahab yakro

agar nahin qasd ai zalim mere dil ke satane ka

Abdul Wahab yakro

MORE BYAbdul Wahab yakro

    agar nahīñ qasd ai zālim mire dil ke satāne

    sabab kyā hai tujhe mujh se namāne se bahāne

    huī muddat nahīñ tāqat mire dil kuuñ judā.ī

    karam kar aa sajan fikr kar mere bulāne

    shah-e-ḳhūbāñ mire ghar raat ko aayā hai ai mutrib

    mirā dil shaad hai raag ai mutrib shahāne

    na hove kyuuñ ke gardūñ pe sadā dil buland etī

    hamārī aah hai Dañkā damāme ke bajāne

    jabhī ho vasl hāñsī siiñ hisār-e-pairahan tab

    tirā 'yakrū' tsunami hai nahīñ hargiz samāne

    agar nahin qasd ai zalim mere dil ke satane ka

    sabab kya hai tujhe mujh se namane se bahane ka

    hui muddat nahin taqat mere dil kun judai ki

    karam kar aa sajan ya fikr kar mere bulane ka

    shah-e-KHuban mere ghar raat ko aaya hai ai mutrib

    mera dil shad hai ga rag ai mutrib shahane ka

    na howe kyun ke gardun pe sada dil ki buland eti

    hamari aah hai Danka damame ke bajaane ka

    jabhi ho wasl hansi sin hisar-e-pairahan tab

    tera 'yakru' tsunami hai nahin hargiz samane ka

    Source:

    diwan-e-yakro (Pg. 1)

    • Author: Abdul Wahab yakro
      • Edition: 1978
      • Publisher: sara-e-road muzaffarpur
      • Year of Publication: 1978
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now