aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

agar un ke lab par gila hai kisi ka

Riyaz Khairabadi

agar un ke lab par gila hai kisi ka

Riyaz Khairabadi

MORE BYRiyaz Khairabadi

    agar un ke lab par gilā hai kisī

    to bejā bhī shikva bajā hai kisī

    hasīñ hashr meñ sar jhukā.e hue haiñ

    vafā aaj va.ada huā hai kisī

    vo joban bahut sar uThā.e hue haiñ

    bahut tañg band-e-qabā hai kisī

    vo ḳhud chāhte haiñ koī ab satā.e

    satānā mazā de gayā hai kisī

    jo haiñ dast-e-gustāḳh apne salāmat

    to jhūTā va.ada vafā hai kisī

    vo kyuuñ uTh ke ḳhalvat se mahfil meñ aa.eñ

    vo kyā jāneñ kyā mudda.ā hai kisī

    banā luuñ ḳhudā to bhī mere na hoñge

    butoñ meñ koī bhī huā hai kisī

    koī god meñ jham se aa gayā hai

    tasavvur hameñ jab bañdhā hai kisī

    'riyāz' aur rañg meñ mast haiñ ab

    sunā hai pyālā piyā hai kisī

    agar un ke lab par gila hai kisi ka

    to beja bhi shikwa baja hai kisi ka

    hasin hashr mein sar jhukae hue hain

    wafa aaj wada hua hai kisi ka

    wo joban bahut sar uThae hue hain

    bahut tang band-e-qaba hai kisi ka

    wo KHud chahte hain koi ab satae

    satana maza de gaya hai kisi ka

    jo hain dast-e-gustaKH apne salamat

    to jhuTa hi wada wafa hai kisi ka

    wo kyun uTh ke KHalwat se mahfil mein aaen

    wo kya jaanen kya muddaa hai kisi ka

    bana lun KHuda to bhi mere na honge

    buton mein koi bhi hua hai kisi ka

    koi god mein jham se aa hi gaya hai

    tasawwur hamein jab bandha hai kisi ka

    'riyaz' aur hi rang mein mast hain ab

    suna hai pyala piya hai kisi ka

    Source:

    Riyaz Rizwan (Pg. e-172 p-34)

    • Author: Niyaz Ahmad
      • Edition: 1938
      • Publisher: Aazam Steam Press, Hyderabad
      • Year of Publication: 1938
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now