Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

agle din kuchh aise honge

Anwar Masood

agle din kuchh aise honge

Anwar Masood

MORE BYAnwar Masood

    agle din kuchh aise hoñge

    chhilke phaloñ se mahñge hoñge

    nannhī nannhī chiyūñTiyoñ ke bhī

    hāthī jaise saa.e hoñge

    bhiiḌ to hogī lekin phir bhī

    suune suune raste hoñge

    phuul khuleñge tanhā tanhā

    jhurmuT jhurmuT kāñTe hoñge

    log use bhagvān kaheñge

    jis jeb meñ paise hoñge

    riit jalegī dhuup meñ 'anvar'

    barf pe bādal chhā.e hoñge

    agle din kuchh aise honge

    chhilke phalon se mahnge honge

    nannhi nannhi chiyunTiyon ke bhi

    hathi jaise sae honge

    bhiD to hogi lekin phir bhi

    sune sune raste honge

    phul khulenge tanha tanha

    jhurmuT jhurmuT kanTe honge

    log use bhagwan kahenge

    jis ki jeb mein paise honge

    rit jalegi dhup mein 'anwar'

    barf pe baadal chhae honge

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 855)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now