Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ahd-e-junun mein baiThe baiThe jo ghazlen likh Dali thin

Qaisarul Jafri

ahd-e-junun mein baiThe baiThe jo ghazlen likh Dali thin

Qaisarul Jafri

MORE BYQaisarul Jafri

    ahd-e-junūñ meñ baiThe baiThe jo ġhazleñ likh Daalī thiiñ

    ham ko rusvā duniyā bhar ko pāgal karne vaalī thiiñ

    āñkhoñ meñ vo shaam TukḌā aksar chubhtā rahtā hai

    ghar meñ āñdhī jab aa.ī thī sham.eñ jalne vaalī thiiñ

    chāñd sitāre TuuT rahe the ḳhvāboñ añgnā.ī meñ

    aañkh khulī to dekhā ghar sab dīvāreñ kaalī thiiñ

    chuTkī bhar ummīd nahīñ thī kaasa le kar kyā phirte

    shahr-e-vafā saarī galiyāñ apnī dekhī-bhālī thiiñ

    pyaar mausam biit chukā thā bastī meñ jab pahuñche ham

    logoñ ne phūloñ ke badle talvāreñ mañgvā thiiñ

    'qaisar' dil haal sunā kar jab yāroñ muñh dekhā

    sab ke chehre sūkhe sūkhe sab āñkheñ ḳhālī thiiñ

    ahd-e-junun mein baiThe baiThe jo ghazlen likh Dali thin

    hum ko ruswa duniya bhar ko pagal karne wali thin

    aankhon mein wo sham ka TukDa aksar chubhta rahta hai

    ghar mein aandhi jab aai thi shamen jalne wali thin

    chand sitare TuT rahe the KHwabon ki angnai mein

    aankh khuli to dekha ghar ki sab diwaren kali thin

    chuTki bhar ummid nahin thi kasa le kar kya phirte

    shahr-e-wafa ki sari galiyan apni dekhi-bhaali thin

    pyar ka mausam bit chuka tha basti mein jab pahunche hum

    logon ne phulon ke badle talwaren mangwa li thin

    'qaisar' dil ka haal suna kar jab yaron ka munh dekha

    sab ke chehre sukhe sukhe sab ki aankhen KHali thin

    Source:

    Agar Darya Mila Hota (Pg. 60)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now