aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ahl-e-hawas ke hathon na ye karobar ho

Hasan Najmi Sikandarpuri

ahl-e-hawas ke hathon na ye karobar ho

Hasan Najmi Sikandarpuri

MORE BYHasan Najmi Sikandarpuri

    ahl-e-havas ke hāthoñ na ye kārobār ho

    ābād hoñ sitāre zamīñ regzār ho

    ik shaan ye bhī jiine hai rahe haiñ log

    tūfān se lagāo samundar se pyaar ho

    hālāt meñ kabhī ye tavāzun dikhā.ī de

    ġham mustaqil rahe na ḳhushī musta.ār ho

    nafrat ke sañg-rezoñ bārish thame kabhī

    dair-o-haram ke beach safar ḳhush-gavār ho

    sadiyoñ se ghul rahī hai isī fikr meñ hayāt

    rahzan se paak ziist har rahguzār ho

    bād-e-sumūm luuT le chehroñ tāzgī

    aglī sadī aisī na fasl-e-bahār ho

    'najmī' jo apne ahd tārīḳh ban ga.e

    un shā.iroñ meñ kaash mirā bhī shumār ho

    ahl-e-hawas ke hathon na ye karobar ho

    aabaad hon sitare zamin regzar ho

    ek shan ye bhi jine ki hai ji rahe hain log

    tufan se lagao samundar se pyar ho

    haalat mein kabhi ye tawazun dikhai de

    gham mustaqil rahe na KHushi mustaar ho

    nafrat ke sang-rezon ki barish thame kabhi

    dair-o-haram ke beach safar KHush-gawar ho

    sadiyon se ghul rahi hai isi fikr mein hayat

    rahzan se pak zist ki har rahguzar ho

    baad-e-sumum luT le chehron ki tazgi

    agli sadi ki aisi na fasl-e-bahaar ho

    'najmi' jo apne ahd ki tariKH ban gae

    un shairon mein kash mera bhi shumar ho

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 196)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now