ahl-e-wafa ke waste rah-e-wafa banai thi
ahl-e-vafā ke vāste rāh-e-vafā banā.ī thī
maiñ vo huuñ jis ne shahr kī āb-o-havā banā.ī thī
varna to bazm-e-'ishq meñ rasm-e-kalām hī na thī
maiñ ne tumhāre vāste phir bhī sadā banā.ī thī
mujh ko chamak se 'ishq thā us ko thī tīrgī pasand
maiñ ne diyā banā liyā us ne havā banā.ī thī
shikva hī kyā ho ġhair se jis ko koī ḳhabar na thī
tum to the dard-āshnā tum ne davā banā.ī thī
sadqe meñ us tabīb ke jis ne kabhī mire liye
ḳhāk-e-dar-e-habīb se ḳhāk-e-shifā banā.ī thī
maiñ ne zamīñ ke haath ko beloñ se bhar diyā 'hayā'
maiñ ne lahū kī dhaar se taaza hinā banā.ī thī
ahl-e-wafa ke waste rah-e-wafa banai thi
main wo hun jis ne shahr ki aab-o-hawa banai thi
warna to bazm-e-'ishq mein rasm-e-kalam hi na thi
main ne tumhaare waste phir bhi sada banai thi
mujh ko chamak se 'ishq tha us ko thi tirgi pasand
main ne diya bana liya us ne hawa banai thi
shikwa hi kya ho ghair se jis ko koi KHabar na thi
tum to the dard-ashna tum ne dawa banai thi
sadqe mein us tabib ke jis ne kabhi mere liye
KHak-e-dar-e-habib se KHak-e-shifa banai thi
main ne zamin ke hath ko belon se bhar diya 'haya'
main ne lahu ki dhaar se taza hina banai thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.