Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai dil achchha nahin masruf-e-fughan ho jaana

Faiz ul Hasan Khayal

ai dil achchha nahin masruf-e-fughan ho jaana

Faiz ul Hasan Khayal

MORE BYFaiz ul Hasan Khayal

    ai dil achchhā nahīñ masrūf-e-fuġhāñ ho jaanā

    ġham tauhīn hai ashkoñ ravāñ ho jaanā

    dil āvāz bhī majrūh jahāñ hotī hai

    aise hālāt meñ ḳhāmosh vahāñ ho jaanā

    mere aañsū jo gireñ Taañk lo tum juuḌe meñ

    dekh le koī to phūloñ gumāñ ho jaanā

    ahl-e-sāhil ko bhī andāza-e-tūfāñ ho jaa.e

    qatra-e-ashk zarā sail-e-ravāñ ho jaanā

    ruḳhsat-e-mausam-e-gul ke bhī uThāo sadme

    itnā āsāñ nahīñ ehsās-e-ḳhizāñ ho jaanā

    qaid-e-mausam nahīñ naġhmāt-e-anā dil ke liye

    koī mausam ho gul-e-tar zabāñ ho jaanā

    mere jiine sahārā thiiñ jo nazreñ kal tak

    kyā sitam hai unheñ nazroñ garāñ ho jaanā

    shauq-afzā hai ye andāz-e-hijāb-e-ḳhūbāñ

    dil meñ rahte hue āñkhoñ se nihāñ ho jaanā

    vo gulistāñ meñ jo aa jaa.eñ to mumkin hai 'ḳhayāl'

    muskurātī huī kaliyoñ javāñ ho jaanā

    ai dil achchha nahin masruf-e-fughan ho jaana

    gham ki tauhin hai ashkon ka rawan ho jaana

    dil ki aawaz bhi majruh jahan hoti hai

    aise haalat mein KHamosh wahan ho jaana

    mere aansu jo giren Tank lo tum juDe mein

    dekh le koi to phulon ka guman ho jaana

    ahl-e-sahil ko bhi andaza-e-tufan ho jae

    qatra-e-ashk zara sail-e-rawan ho jaana

    ruKHsat-e-mausam-e-gul ke bhi uThao sadme

    itna aasan nahin ehsas-e-KHizan ho jaana

    qaid-e-mausam nahin naghmat-e-ana dil ke liye

    koi mausam ho gul-e-tar ki zaban ho jaana

    mere jine ka sahaara thin jo nazren kal tak

    kya sitam hai unhen nazron ka garan ho jaana

    shauq-afza hai ye andaz-e-hijab-e-KHuban

    dil mein rahte hue aankhon se nihan ho jaana

    wo gulistan mein jo aa jaen to mumkin hai 'KHayal'

    muskuraati hui kaliyon ka jawan ho jaana

    Source:

    Subh Ka Suraj (Pg. 142)

    • Author: Faiz ul Hasan Khayal
      • Edition: 1972
      • Publisher: Faiz ul Hasan Khayal
      • Year of Publication: 1972
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now