Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai ham-safar ye rah-bari ka guman chhoD

Zafar Sahbai

ai ham-safar ye rah-bari ka guman chhoD

Zafar Sahbai

MORE BYZafar Sahbai

    ai ham-safar ye rāh-barī gumān chhoḌ

    kis ne kahā hai tujh se qadam ke nishān chhoḌ

    phir dekh zindagī ke maze tajraboñ ke rañg

    bāhar qadam nikāl zarā sā.ebān chhoḌ

    ab dostī nahīñ na sahī dushmanī sahī

    koī to rābte kaḌī darmiyān chhoḌ

    us vafā.eñ sirf havāoñ ke saath haiñ

    ye etimād-e-dostī-e-bādbān chhoḌ

    talvār zabān samajhne lage haiñ log

    ab ye mahātmāoñ tarz-e-bayān chhoḌ

    jo tere sar-parast the kab ke chale ga.e

    firqa-parastī bhī ye hindostān chhoḌ

    baaqī jo bach rahe haiñ vo circus ke sher haiñ

    murda huā ye dasht shikārī machān chhoḌ

    ai ham-safar ye rah-bari ka guman chhoD

    kis ne kaha hai tujh se qadam ke nishan chhoD

    phir dekh zindagi ke maze tajrabon ke rang

    bahar qadam nikal zara saeban chhoD

    ab dosti nahin na sahi dushmani sahi

    koi to rabte ki kaDi darmiyan chhoD

    us ki wafaen sirf hawaon ke sath hain

    ye etimad-e-dosti-e-baadban chhoD

    talwar ki zaban samajhne lage hain log

    ab ye mahatmaon ka tarz-e-bayan chhoD

    jo tere sar-parast the kab ke chale gae

    firqa-parasti tu bhi ye hindostan chhoD

    baqi jo bach rahe hain wo circus ke sher hain

    murda hua ye dasht shikari machan chhoD

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 443)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now