ai hawa ye charagh kis ke hain
ai havā ye charāġh kis ke haiñ
itne raushan dimāġh kis ke haiñ
mast-kun ḳhushbueñ mahaktī haiñ
dil meñ sarsabz baaġh kis ke haiñ
pī rahā huuñ bahut sharāb-e-husn
ye labālab ayāġh kis ke haiñ
kaun tābinda hai yaqīñ meñ mire
bad-gumānī ke daaġh kis ke haiñ
maiñ nahīñ huuñ kahīñ agar 'āzar'
chaak par ye surāġh kis ke haiñ
ai hawa ye charagh kis ke hain
itne raushan dimagh kis ke hain
mast-kun KHushbuen mahakti hain
dil mein sarsabz bagh kis ke hain
pi raha hun bahut sharab-e-husn
ye labaalab ayagh kis ke hain
kaun tabinda hai yaqin mein mere
bad-gumani ke dagh kis ke hain
main nahin hun kahin agar 'azar'
chaak par ye suragh kis ke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.