Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai jazb-e-mohabbat tu hi bata kyunkar na asar le dil hi to hai

Arzoo Lakhnavi

ai jazb-e-mohabbat tu hi bata kyunkar na asar le dil hi to hai

Arzoo Lakhnavi

MORE BYArzoo Lakhnavi

    ai jazb-e-mohabbat batā kyūñkar na asar le dil to hai

    sīdhī bhī chhurī TeḌhī bhī chhurī dil-doz nazar qātil to hai

    jab huuk uThegī taḌpegā insāf na chhoḌo dil to hai

    nā-chand thakan sabr-o-sukūñ bismil āḳhir bismil to hai

    tūfān-e-balā maujoñ meñ kiiñ band āñkheñ aur phāñd paḌe

    kashtī ne jahāñ Takkar khaa.ī dil bol uThā sāhil to hai

    hai zarf yahāñ kis kitnā dil bas hai usī paimāna

    ronā bhī burā hañsnā bhī burā jo baat hai vo mushkil to hai

    nā-ḳhush hai to kyā hai ḳhush hai to kyā jaisā bhī sahī hai apnā

    ye saath nahīñ chhuTne vaalā be-kas sahārā dil to hai

    haiñ maut ke is jiine meñ maze ġham jis ko na ho vo kyā samjhe

    jab sābit karte ban na paḌe jo da.avā hai bātil to hai

    thī ḳhizr-e-tarīq uftād yahāñ aur sañg-e-havādis sañg-e-nishāñ

    had rāh-e-talab aa ga.ī haañ jaatā hai kahāñ manzil to hai

    dukh de ke ulTe denā kyā fariyād natīja hai ġham

    jab Thes lagī shīsha Thankā patthar na samajhiye dil to hai

    aap 'ārzū' ab ḳhāmosh raheñ kuchh achchhī burī khul kar na kaheñ

    haiñ jitne muñh itnī bāteñ mahfil āḳhir mahfil to hai

    ai jazb-e-mohabbat tu hi bata kyunkar na asar le dil hi to hai

    sidhi bhi chhuri TeDhi bhi chhuri dil-doz nazar qatil hi to hai

    jab huk uThegi taDpega insaf na chhoDo dil hi to hai

    na-chand thakan ka sabr-o-sukun bismil aaKHir bismil hi to hai

    tufan-e-bala ki maujon mein kin band aankhen aur phand paDe

    kashti ne jahan Takkar khai dil bol uTha sahil hi to hai

    hai zarf yahan kis ka kitna dil bas hai usi ka paimana

    rona bhi bura hansna bhi bura jo baat hai wo mushkil hi to hai

    na-KHush hai to kya hai KHush hai to kya jaisa bhi sahi hai tu apna

    ye sath nahin chhuTne wala be-kas ka sahaara dil hi to hai

    hain maut ke is jine mein maze gham jis ko na ho wo kya samjhe

    jab sabit karte ban na paDe jo dawa hai baatil hi to hai

    thi KHizr-e-tariq uftad yahan aur sang-e-hawadis sang-e-nishan

    had rah-e-talab ki aa gai han jata hai kahan manzil hi to hai

    dukh de ke ulTe dena kya fariyaad natija hai gham ka

    jab Thes lagi shisha Thanka patthar na samajhiye dil hi to hai

    aap 'arzu' ab KHamosh rahen kuchh achchhi buri khul kar na kahen

    hain jitne munh itni baaten mahfil aaKHir mahfil hi to hai

    Source:

    Nishaan-e-Aarzu (Pg. ebook-173 page-163)

    • Author: Anwar Husain Arzoo
      • Edition: 1968
      • Year of Publication: 1968
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now