ai mere ham-kinar jism chal mujhe be-kanar kar
ai mire ham-kinār jism chal mujhe be-kanār kar
maiñ tujhe mushtahar karūñ tū mirā ishtihār kar
donoñ ko yaad to rahe baiThe haiñ ār-pār ham
biich ke is charāġh ko dekh to leñ pukār kar
paanī yahāñ se chal diyā tujh ko pukārte hue
baiThā ab apne hauz par paanī kā intizār kar
jism se ġham nikal gayā kapḌoñ kā dam nikal gayā
aur mujhe rihā.ī de aur mirā shikār kar
hijr ke haath khil ke dekh vasl ke saath mil ke dekh
ek se iḳhtiyār maañg ek ko iḳhtiyār kar
raat bachī na din bache vaqt bahut sā bach gayā
vā'de kī raat kaaT kar vā'de kā din guzār kar
shahr meñ dāḳhle kī shart jism nahīñ thā ruuh thī
jism kā jism rakh diyā sar se kahīñ utaar kar
ḳhaak bhī jam ga.ī mirī raakh bhī tham ga.ī mirī
lauTūñgā aaj der se thoḌā sā intizār kar
ai mere ham-kinar jism chal mujhe be-kanar kar
main tujhe mushtahar karun tu mera ishtihaar kar
donon ko yaad to rahe baiThe hain aar-par hum
bich ke is charagh ko dekh to len pukar kar
pani yahan se chal diya tujh ko pukarte hue
baiTha ab apne hauz par pani ka intizar kar
jism se gham nikal gaya kapDon ka dam nikal gaya
aur mujhe rihai de aur mera shikar kar
hijr ke hath khil ke dekh wasl ke sath mil ke dekh
ek se iKHtiyar mang ek ko iKHtiyar kar
raat bachi na din bache waqt bahut sa bach gaya
wa'de ki raat kaT kar wa'de ka din guzar kar
shahr mein daKHle ki shart jism nahin tha ruh thi
jism ka jism rakh diya sar se kahin utar kar
KHak bhi jam gai meri rakh bhi tham gai meri
lauTunga aaj der se thoDa sa intizar kar
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 71)
- Author : Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.