Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai zamane teri raftar se Dar lagta hai

Roop Sagar

ai zamane teri raftar se Dar lagta hai

Roop Sagar

MORE BYRoop Sagar

    ai zamāne tirī raftār se Dar lagtā hai

    ab tirī dostī se pyaar se Dar lagtā hai

    kin havāoñ asar tujh pe huā jaatā hai

    tere badle hue kirdār se Dar lagtā hai

    dekh sakta nahīñ nākām tujhe duniyā meñ

    jiit se apnī tirī haar se Dar lagtā hai

    dil ko aatā nahīñ iz.hār-e-mohabbat karnā

    aur mujh ko tere inkār se Dar lagtā hai

    ziist se paa.e haiñ ġham itne ki ab to ham ko

    apnī ḳhushiyoñ ke bhī gulzār se Dar lagtā hai

    is qadar shor hai in paañv zanjīroñ

    mujh ko paa.el bhī jhankār se Dar lagtā hai

    nukta-chīnī hai sab ahbāb sheva 'sāgar'

    is liye apnī guftār se Dar lagtā hai

    ai zamane teri raftar se Dar lagta hai

    ab teri dosti se pyar se Dar lagta hai

    kin hawaon ka asar tujh pe hua jata hai

    tere badle hue kirdar se Dar lagta hai

    dekh sakta nahin nakaam tujhe duniya mein

    jit se apni teri haar se Dar lagta hai

    dil ko aata nahin izhaar-e-mohabbat karna

    aur mujh ko tere inkar se Dar lagta hai

    zist se pae hain gham itne ki ab to hum ko

    apni KHushiyon ke bhi gulzar se Dar lagta hai

    is qadar shor hai in panw ki zanjiron ka

    mujh ko pael ki bhi jhankar se Dar lagta hai

    nukta-chini hai sab ahbab ka shewa 'sagar'

    is liye apni hi guftar se Dar lagta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now