aisa KHumar hai teri chashm-e-ghazal mein
aisā ḳhumār hai tirī chashm-e-ġhazāl meñ
ḳhāliq kā mo'jiza tire husn-o-jamāl meñ
bantā nahīñ javāb ḳhirad kī kahāñ bisāt
kyā kyā tahayyurāt haiñ dil ke savāl meñ
kar de kahīñ na raakh jalā kar zarā sañbhal
hai vo tapish nihāñ mire soz-e-jalāl meñ
ḳhāmoshiyoñ meñ bhī hai judāgāna guftugū
bole to goyā jādūgarī hai kamāl meñ
lutf-o-karam rahe tirā Dhalte raheñ sadā
yā-rab mohabbatoñ ke ye pal māh-o-sāl meñ
mere tasavvurāt se jā.egā vo kahāñ
jis kā qiyām hai mire husn-e-ḳhayāl meñ
is darja ehtiyāt meñ lāzim hai ehtiyāt
TuuTe na dil kā aa.ina is dekh-bhāl meñ
varna shikār karnā hameñ sahl thā kahāñ
marzī se dil kī aa.e haiñ ham tere jaal meñ
huuñ mutma.in maiñ us ko dil-o-jān sauñp kar
us kī razā hai chāhe rakhe jaise haal meñ
rizq-e-halāl se milīñ duniyā kī ne'mateñ
sadqa hai ik javāz ki barkat hai maal meñ
itrā.iye na ḳhud pe ki 'nasrīn' ek din
daur-e-urūj Dhaltā hai daur-e-zavāl meñ
aisa KHumar hai teri chashm-e-ghazal mein
KHaliq ka mo'jiza tere husn-o-jamal mein
banta nahin jawab KHirad ki kahan bisat
kya kya tahayyuraat hain dil ke sawal mein
kar de kahin na rakh jala kar zara sanbhal
hai wo tapish nihan mere soz-e-jalal mein
KHamoshiyon mein bhi hai judagana guftugu
bole to goya jadugari hai kamal mein
lutf-o-karam rahe tera Dhalte rahen sada
ya-rab mohabbaton ke ye pal mah-o-sal mein
mere tasawwuraat se jaega wo kahan
jis ka qiyam hai mere husn-e-KHayal mein
is darja ehtiyat mein lazim hai ehtiyat
TuTe na dil ka aaina is dekh-bhaal mein
warna shikar karna hamein sahl tha kahan
marzi se dil ki aae hain hum tere jal mein
hun mutmain main us ko dil-o-jaan saunp kar
us ki raza hai chahe rakhe jaise haal mein
rizq-e-halal se milin duniya ki ne'maten
sadqa hai ek jawaz ki barkat hai mal mein
itraiye na KHud pe ki 'nasrin' ek din
daur-e-uruj Dhalta hai daur-e-zawal mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.