Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aise rakhti hai hamein teri mohabbat zinda

Shahbaz Khwaja

aise rakhti hai hamein teri mohabbat zinda

Shahbaz Khwaja

MORE BYShahbaz Khwaja

    aise rakhtī hai hameñ terī mohabbat zinda

    jis tarah jism ko sāñsoñ harārat zinda

    shauq raah meñ ik aisā bhī pal aatā hai

    jis meñ ho jaatī hai sadiyoñ riyāzat zinda

    roz ik ḳhauf āvāz pe ham uThte haiñ

    roz hotī hai dil o jaañ meñ qayāmat zinda

    ab bhī anjān zamīnoñ kashish khīñchtī hai

    ab bhī shāyad hai lahū meñ kahīñ hijrat zinda

    tā.at-e-jabr bahut aam huī jaatī thī

    ek inkār ne rasm-e-baġhāvat zinda

    ham to mar kar bhī na bātil ko salāmī deñge

    kaise mumkin hai ki kar leñ tirī bai.at zinda

    ham meñ soqrāt to koī nahīñ phir bhī 'shahbāz'

    zahr lete haiñ rakhte haiñ rivāyat zinda

    aise rakhti hai hamein teri mohabbat zinda

    jis tarah jism ko sanson ki hararat zinda

    shauq ki rah mein ek aisa bhi pal aata hai

    jis mein ho jati hai sadiyon ki riyazat zinda

    roz ek KHauf ki aawaz pe hum uThte hain

    roz hoti hai dil o jaan mein qayamat zinda

    ab bhi anjaan zaminon ki kashish khinchti hai

    ab bhi shayad hai lahu mein kahin hijrat zinda

    taat-e-jabr bahut aam hui jati thi

    ek inkar ne ki rasm-e-baghawat zinda

    hum to mar kar bhi na baatil ko salami denge

    kaise mumkin hai ki kar len teri baiat zinda

    hum mein soqraat to koi nahin phir bhi 'shahbaz'

    zahr pi lete hain rakhte hain riwayat zinda

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now