Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aish-e-rafta ne bahut KHun rulaya hai mujhe

Javed Vashisht

aish-e-rafta ne bahut KHun rulaya hai mujhe

Javed Vashisht

MORE BYJaved Vashisht

    aish-e-rafta ne bahut ḳhuun rulāyā hai mujhe

    phuul sej ne kāñToñ pe sulāyā hai mujhe

    de ke ik sho.ala-e-guftār jagāyā hai mujhe

    ahd-e-ḳhvābīda ne be-dard banāyā hai mujhe

    zard-rū ḳhaar bhī hai āshiq-e-salmā-e-bahār

    shoḳh kaliyoñ ne ishāroñ meñ batāyā hai mujhe

    TūTtā nahīñ rañgīnī-e-ḳhvāhish tilism

    ism-e-āzam amal bhī to sikhāyā hai mujhe

    ḳhūn-e-mazlūm akārat to nahīñ saktā

    zaḳhm-e-gul-rez ne phūloñ se sajāyā hai mujhe

    shāyad is daur shiv-jī samajh kar 'jāved'

    vaqt ne ziist sab zahr pilāyā hai mujhe

    aish-e-rafta ne bahut KHun rulaya hai mujhe

    phul ki sej ne kanTon pe sulaya hai mujhe

    de ke ek shoala-e-guftar jagaya hai mujhe

    ahd-e-KHwabida ne be-dard banaya hai mujhe

    zard-ru KHar bhi hai aashiq-e-salma-e-bahaar

    shoKH kaliyon ne ishaaron mein bataya hai mujhe

    TuTta hi nahin rangini-e-KHwahish ka tilism

    ism-e-azam ka amal bhi to sikhaya hai mujhe

    KHun-e-mazlum akarat to nahin ja sakta

    zaKHm-e-gul-rez ne phulon se sajaya hai mujhe

    shayad is daur ka shiw-ji hi samajh kar 'jawed'

    waqt ne zist ka sab zahr pilaya hai mujhe

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 186)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now