ajib Dhab ka musafir hai ghar na aaega
'ajīb Dhab kā musāfir hai ghar na aa.egā
jo vaqt biit gayā lauT kar na aa.egā
ye eqtidār milā hai baḌe jatan kar ke
ab un ko apne sivā kuchh nazar na aa.egā
charāġh kaise jaleñge udaas palkoñ par
jo Dhal ke ashkoñ meñ ḳhūn-e-jigar na aa.egā
ye gumrahī bhī na.e rāste nikālegī
hamāre aage agar rāhbar na aa.egā
na jaane kyoñ mirī āñkheñ lagī rahīñ dar par
maiñ jāntā thā ki vo raat bhar na aa.egā
ye sāniha hai ki sar se uThe ghane saa.e
ab apnī raah meñ koī shajar na aa.egā
ġhamoñ ke peḌ ke nīche khaḌe hue ho 'anīs'
tumhāre haath ḳhushī kā samar na aa.egā
'ajib Dhab ka musafir hai ghar na aaega
jo waqt bit gaya lauT kar na aaega
ye eqtidar mila hai baDe jatan kar ke
ab un ko apne siwa kuchh nazar na aaega
charagh kaise jalenge udas palkon par
jo Dhal ke ashkon mein KHun-e-jigar na aaega
ye gumrahi bhi nae raste nikalegi
hamare aage agar rahbar na aaega
na jaane kyon meri aankhen lagi rahin dar par
main jaanta tha ki wo raat bhar na aaega
ye saniha hai ki sar se uThe ghane sae
ab apni rah mein koi shajar na aaega
ghamon ke peD ke niche khaDe hue ho 'anis'
tumhaare hath KHushi ka samar na aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.