Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajib shai hai ki surat badalti jati hai

Abdul Hamid

ajib shai hai ki surat badalti jati hai

Abdul Hamid

MORE BYAbdul Hamid

    ajiib shai hai ki sūrat badaltī jaatī hai

    ye shaam jaise maqābir meñ Dhaltī jaatī hai

    chahār samt se tesha-zanī havā hai

    ye shāḳh-e-sabz ki har aan phaltī jaatī hai

    pahuñch sakūñgā fasīl-e-buland tak kaise

    ki mere haath se rassī phisaltī jaatī hai

    kahīñ se aatī jaatī hai niind āñkhoñ meñ

    kisī ke aane saa.at nikaltī jaatī hai

    nigah ko zā.eqa-e-ḳhāk milne vaalā hai

    ki sāhiloñ taraf naav chaltī jaatī hai

    ajib shai hai ki surat badalti jati hai

    ye sham jaise maqabir mein Dhalti jati hai

    chahaar samt se tesha-zani hawa ki hai

    ye shaKH-e-sabz ki har aan phalti jati hai

    pahunch sakunga fasil-e-buland tak kaise

    ki mere hath se rassi phisalti jati hai

    kahin se aati hi jati hai nind aankhon mein

    kisi ke aane ki saat nikalti jati hai

    nigah ko zaeqa-e-KHak milne wala hai

    ki sahilon ki taraf naw chalti jati hai

    RECITATIONS

    Abdul Hamid

    Abdul Hamid,

    Abdul Hamid

    ajib shai hai ki surat badalti jati hai Abdul Hamid

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now