ajnabi jaana kisi ne dushman-e-jaani mujhe
ajnabī jaanā kisī ne dushman-e-jānī mujhe
jaan kar bhī aaj tak duniyā na pahchānī mujhe
yaad jab aaya hai daur-e-hashr-sāmānī mujhe
paanī paanī kar gayā andāz-e-insānī mujhe
dūsroñ kī rāhatoñ kā rāsta to khul gayā
raas aa.e yā na aa.e merī qurbānī mujhe
le uḌā vo to mujhe merā par-e-parvāz-e-shauq
maar detī gulsitāñ kī tang-dāmānī mujhe
maiñ to samjhā thā miTā Dāleñge ye mirā vujūd
hādsoñ ne baḳhsh dī ik 'umr-e-lāfānī mujhe
paañv uThte hī ga.e manzil kī jānib dam-ba-dam
raah dikhlātī ga.ī merī pareshānī mujhe
manzil-e-maqsūd raushan rāsta be-pech-o-ḳham
ab safar kī chāhiye kyā aur āsānī mujhe
chhoḌ kar is āstāñ ko ye milī mujh ko sazā
dar-ba-dar karnī paḌī ḳham apnī peshānī mujhe
jaan de dete haiñ nāhaq par bhī log apnī 'azīz'
haq-bayānī se ho kyoñ āḳhir pashemānī mujhe
ajnabi jaana kisi ne dushman-e-jaani mujhe
jaan kar bhi aaj tak duniya na pahchani mujhe
yaad jab aaya hai daur-e-hashr-samani mujhe
pani pani kar gaya andaz-e-insani mujhe
dusron ki rahaton ka rasta to khul gaya
ras aae ya na aae meri qurbani mujhe
le uDa wo to mujhe mera par-e-parwaz-e-shauq
mar deti gulsitan ki tang-damani mujhe
main to samjha tha miTa Dalenge ye mera wujud
hadson ne baKHsh di ek 'umr-e-lafani mujhe
panw uThte hi gae manzil ki jaanib dam-ba-dam
rah dikhlati gai meri pareshani mujhe
manzil-e-maqsud raushan rasta be-pech-o-KHam
ab safar ki chahiye kya aur aasani mujhe
chhoD kar is aastan ko ye mili mujh ko saza
dar-ba-dar karni paDi KHam apni peshani mujhe
jaan de dete hain nahaq par bhi log apni 'aziz'
haq-bayani se ho kyon aaKHir pashemani mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.