Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

allah bashar jah-o-hasham bech rahe hain

Faizan Asad

allah bashar jah-o-hasham bech rahe hain

Faizan Asad

MORE BYFaizan Asad

    allāh bashar jāh-o-hasham bech rahe haiñ

    ḳhud-sāḳhta patthar ke sanam bech rahe haiñ

    maġhrib ta.affun-zada tahzīb ke badle

    ham arz-e-muqaddas haram bech rahe haiñ

    bebāk sadāqat se jo mansūb rahā hai

    dil rotā hai kyoñ log qalam bech rahe haiñ

    hairān huuñ maiñ saḳhtī-e-jāñ dekh ke un

    kis dil se vo rūdād-e-sitam bech rahe haiñ

    pesha hai kisī to koī bhuuk se majbūr

    bāzār-e-adālat meñ qasam bech rahe haiñ

    hijrat huī az.hān pe kuchh aise musallat

    vo ghar thā jo ik bāġh-e-iram bech rahe haiñ

    'as.ad' yahāñ maz.hab hai munāfa tijārat

    har moḌ pe ab log dharam bech rahe haiñ

    allah bashar jah-o-hasham bech rahe hain

    KHud-saKHta patthar ke sanam bech rahe hain

    maghrib ki taffun-zada tahzib ke badle

    hum arz-e-muqaddas ka haram bech rahe hain

    bebak sadaqat se jo mansub raha hai

    dil rota hai kyon log qalam bech rahe hain

    hairan hun main saKHti-e-jaan dekh ke un ki

    kis dil se wo rudad-e-sitam bech rahe hain

    pesha hai kisi ka to koi bhuk se majbur

    bazar-e-adalat mein qasam bech rahe hain

    hijrat hui azhan pe kuchh aise musallat

    wo ghar tha jo ek bagh-e-iram bech rahe hain

    'asad' yahan mazhab hai munafa ki tijarat

    har moD pe ab log dharam bech rahe hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now